mujhy maloom hai meri sada ki umer kitni hai
kisi ko bhool jaoo ga koi mujhy bhula day ga
ghanay ashjar main bahti huwi nadi kay saye maiN
main us ko orh longa aur woh mujh ko sula day ga
mujhy besimat amad ki khabar ka saya day kar phir
meri nazaroo ko sadioo tak woh ahat ki saza day ga
ujala bekhudi tareek rataiN sard tanhaye
sar-e-rah-e-tamana woh nazar ko kya say kya day ga
mujhy rangoo-n ko parhnay ka hunar day ga woh pahly phir
baharain anay say phly meri ankhaiN jala day ga