Mujhko ruswa

Mujhko ruswa sar-e-mehfal tu na karwia karay
Kash yeh anso meri ankh mein hi reh jaia karay

Aay hawa mein, mein nay tu bas usska pata pocha tha
Abb kahani tu na har baat ki ban jaia karay

Bas bohat deakh liay khawab suhanay din kay
Ab who baton ki rafaqat say na bihlaia karay

Ik musebat tu nahi tooti so iss dill say
Jiss qiamat nay guzarna hay guzar jaya karay

Jiss kay khawabon ko mein ankhon mein saja kar rakhon
Uss ki khushboo mujhko bhi to kabhi mehkaia karay
By Noshi Gillani

Re: Mujhko ruswa

should i be the 1st one who will comment on ur post...

Na Na i will take time to say something on it...

will be back soon

Re: Mujhko ruswa

^kiyun dar lagta hay kiya comments daynay say ???

Re: Mujhko ruswa

bohat khoob surat hay
balkay yea book "Mohabatian jab shumaar kar" sari he hohat achi hay

Re: Mujhko ruswa

Bhai jaan baat niklay gi to phir dooooooor talak ja’ay gi.

itni achi post k liye comments kuch change sa hona chahiye na
aur aap bhi sawal k shooq main kuch bhool to nahi ga’ay?