Lamhay
1
**
Apni Nazroon sey jo gir jaye woh chehra na bana
Mujh ko lamha-e-fursat ka khilona na bana
sainkaro rastey hain ajnabi ho janey key
Tark karna hai to qismat ka tu bahana na bana
Jhoot ehsaas ki qandeel ko bhujaa deta hai
Mujhko insaan samajh ker khudh ko farishta na bana
Apni yaadein tu mere dil main basi rehne dey
Iss mehaktey huay gulzar ko sehra na bana
Mein tu pehle hi zakhum liye phirta hoon
Muhjey ab shehar dard-e-tamasha na bana
Thak gaye hain meray ehsaas ki aankhain
Naqsh-e-deewar per ab koi afsana na bana…!!!
**
Re: Mujhko insaan samajh ker khudh ko farishta na bana…!!!
Like always … :k::k::k:
Thanks for sharing Lamhay … Khush raho hamesha… Ameen
system
5
*sainkaro rastey hain ajnabi ho janey key
Tark karna hai to qismat ka tu bahana na bana
Apni yaadein tu mere dil main basi rehne dey
Iss mehaktey huay gulzar ko sehra na bana
Thak gaye hain meray ehsaas ki aankhain
Naqsh-e-deewar per ab koi afsana na bana…!!!*
Beautiful :k::k::k:
Lamhay
8
thanks Gkk, amarbail, mehrtaab, prince , vivacious and capricorn!
Lamhay
15
Thanks Jaan leva, assweetas, cutepie,
capricorn,nikami jano !
P.S : azad 