~mujhey yaad ker laina~

* Jub shaam aangun maiN uter aaye, mujhey yaad ker laina Jub chandni har sou bikher jaaye, mujhey yaad ker laina

Shub bhi gehri ho, aankhieN bhi bey-khuab hooN
Aur kisi ki yaad tumheiN sataaye, mujhey yaad ker laina

Kabhi aisa ho aansoo chun-ney wala koi na ho
Aur roney ko bhi jee chahey, mujhey yaad ker laina

Jub koi bhi na aaye tumhari masehaaye ko
Dard bhi jub hudd se baRh jaaye, mujhey yaad ker laina

Tum aisa kerna, gumm rehna tamaam saal khud maiN
Mager jub khizaaN ka mousam aaye, mujhey yaad ker laina

*

Re: ~mujhey yaad ker laina~

Tum aisa kerna, gumm rehna tamaam saal khud maiN
Mager jub khizaaN ka mousam aaye, mujhey yaad ker laina

Boht khoob viv :snooty:

Tum aisa kerna, gumm rehna tamaam saal khud maiN
Mager jub khizaaN ka mousam aaye, mujhey yaad ker laina

Zabardast V V :k: :k:

Thanx for sharing :flower1:

nice :k:

:yawn: :k:

HH, Koidost, Shobii, Hammad- thanks so much :)

Bouhat khoob.. :k:

hmm :k: