Mujhey tum yaad aatey ho
Kisi sunsaan sapney mein chupi khwaahish ki hiddat mein
kisi masroofiat ke morr par
tanhai ke sehraun mein
ya phir kisi anjaan bemari ki shiddat mein
Mujhey tum yaad aatey ho
kisi bichrey huey ke chshm-e-purnam ke nazarey par
kisi beetey huey din ki thakan ki aut se
ya phir tumharey zikr mein guzri hui shab ke ishaarey par
kisi basti ki baronak sarak par
aur kisi darya, kisi weeran jungle ke kinaarey par
Mujhey tum yaad aatey ho
meri chup ke koein mein
aarzo’on ke badan jub tertey hein
aur kinaarey se koi boley
tu lagta hai ajal awaaz deti hai
meri beychenion mein jub tumhari tund khu ranjish khatakti hai
tumhari beysabab doori sulagti hai
ya phir jub bhi meri aankhon ke sehra mein
tumhari yaad ki taveer jalti hai, judai haath malti hai
Mujhey tum yaad aatey ho
mujhey tum yaad aatey ho
Mukaddar ke sitaaron par
zamanon ke isharon par
udaasi ke kinaaron par
kabhi weran shehron mein
kabhi sunsaan raston par
kabhi heraan aankhon mein
kabhi beyjaan lamhon par
Mujhey tum yaad aatey ho
suhaani shaam ho koi
kahin badnam ho koi
bhaley gulfaam ho koi
kisi ke naam ho koi
Mujhey tum yaad aatey ho
*kahin baarish baras jaaey
kahin sehra taras jaaey
kahin kaali ghata utrey
kahin baad-e-saba thehrey
tumharey aur merey darmiyaan aa kar khuda thehrey
tu meri zindagi ke awaal-o-aakhir
tum uss lamhey
Khuda ke baad aatey ho
Mujhey tum yaad aatey ho *