Mujhey bhula daina..

Mujhey bhula daina
mae is raah per na chul sakoon gi
meri aakhri baat maanna
mujhey bhula daina
hamari wafa munzil tuk na pohanch saki
tou
mujhey bewafaii ka naam mut dey daina..
mujhey bhula daina
tumhaari yaadein…
tumhari baatyein sab kabhi na bhula sakoon gi
yehi duaa
hur dum
har pul karoon gi
kay kissi aur ko tum apna laina
mujhey bhula daina
hur woh cheez jiss se jurri meri yaadein
ho sakey tou un sab ko jala kar
raakh bana daina
mujhey bhula daina
woh duaa jo humney saath main hi ki thi
mae na kar saki poori
ussey bhula deina
mujhey bhula deina
mae hur aafutoon toofaanoon ka samna karti
agur ik jo teri jaan ko khatra na hota
mae nahi bewafa
majboori ney maara mujehy
mujhey maaf kar daina
mujhey bhula daina…

Touchy..

beautiful and :teary1: :k:

Xcellent…:k:

Very nice......

:(.. awesome..

^^ Thanx all :hug:

humm