**
Mujhe us ne kabhi dhoka nahin diya**
per kuch kehne ka kabhi mouqa nahin diya
Jagti aankhon se bunn raha tha khwab
sapnon ne us k sone ka kabhi mouqa nahin diya
udta phiron main bhi khulay aasman main
sayyad ne rehai ka kabhi mouqa nahin diya
wada shikan hai wo kuch be wafa bhi hai
aisay kisi khayal se dil kabhi chota nahin kiya
mashq e sitam main yun to usko kamal tha
hamse gila ho us ko kabhi mouqa nahin diya
aashiq to ik jahan tha uska magr ASAD
sani nahin hamara kabhi daawa nahin kiya.