mujhe tum yad na ana
main ji bhar k jo ro-on to
main pa k kuch na kho-on to
jo muhabbat lafz pe attkoon
ya anjani rah pe bhatkoon
kabhi na haath barrhana
mujhe tum yad na ana
barra gehra samandar hai
us se b gehra ye andar hai
kahin mongay kahin seepain
kahin anmol moti hain
kahin ahain kahin ansu
kahin yadain samoti hain
ye doori he suhani hai
bas mere pas na ana
han!
mujhe tum yad na ana…
:lajwab: buhat khoubsurat nazam aur aik rawani dikhai di
leekan sirf iss misray/word par mein kuch dair ruka raha kah yah kia hay
yah Andar (its mean inside ? )