MUJHE TUM YAAD AATAY HO!!!
Haan jaana mujhe tum yaad aatay ho!tumhara pyar kai chehray badalta hai mujhe tang
karta satata hai.tumhara hhijar mujhe tarpata hai aur shidat se mere dil ko masalta
hai to jaana mujhe tum yaad aatay ho.
Phir mein apnay haathon se teri haseen yaadoon ki palkain sanwaarta hoon
to tumhari parchaiaan meri tanhaiion k sath mil kar dard ka raks karti hain to meri
aankhoon se kai sitaray jaltay huay meri go,od main gir kar bujhtay hain to jaana
mujhe tum yaad aatay ho.
Jab in tanhaiion se ghabra kar apnay band kamray ki khamosh fiza se kisi
pur fiza maqaam ya saahil per jaa nikalta hoon to wahan kisi ko kisi apnay ka haath
thaamay chaltay dekhta hoon jaana mujhe tum yaad aatay ho.
Tumhari yaad per laakh paabandi laga doon lakin woh yaad he kya jo yaad
na aaye tumhari yaad lashoore se kabhi bhi kahin bhi tamaam zanjeerain toor kar aa
mojood hoti hai aaisay main jaana main kya karroon jaana bolo mujhe tum yaad aatay ho.
MUJHE TUM YAAD AATAY HO(Tehreer)
N/A
MUJHE TUM YAAD AATAY HO(Tehreer)
N/A
MUJHE TUM YAAD AATAY HO(Tehreer)
N/A
Re: MUJHE TUM YAAD AATAY HO(Tehreer)
Kuch zyaada hi yaad nahi kar lia !!!
;-]
Re: MUJHE TUM YAAD AATAY HO(Tehreer)
jo aapp ne aaisa likha hum samjh gaye aap ko bhi koi yaad aa raha hai hmmm lolz
Re: MUJHE TUM YAAD AATAY HO(Tehreer)
:k:
Re: MUJHE TUM YAAD AATAY HO(Tehreer)
Beinglonely ji....
Please iss Nazm/ghzal (Tahreer) Ki format theek karen,
phir baat hogi..... shukriya peshgi.