Mujhe tum nazar se gira tu rahe ho
Mujhe tum kabhi bhi bhula na sakoge
Na jaanay mujhe kyon yaqeen ho chala hai
Meri yaad ko tum mitta na sakoge
Meri yaad hogi jidhar jaaogay tum
Kabhi naghma ban ke, kabhi ban ke aansoo
Tarapta mujhe har taraf paaogay tum
Shamma jo jalaae hai meri wafa ne
Bhujaana bhi chaaho bhuja na sakogay
Kabhi naam baatoon mein aaya jo mera
Tu bechain ho ho ke dil thaam logay
Nigahoon mein chaayega gham ka andhaira
Kisi ne jo poocha sabab aanso’oun ka
Bataana bhi chaaho bata na sakogay
Mere dil ki dharkan bani hai jo shola
Sulaghtay hain armaan yun ban ban ke aansoo
Kabhi tu tumhein bhi yeh ehsaas hoga
Magar hum na honge teri zindagi mein
Bulaana bhi chaahao bula na sakogay
Mujhe tum nazar se gira tu rahe ho …
Mujhe tum kabhi bhi bhula na sakoge …