**Mujhe teri mohabbat ka sahaara mil gaya hota
Agar toofaan nahi aata, kinaara mil gaya hota
Na tha manzoor qismat ko, na thee marzi bahaaron ki
Nahi tou iss gulistan mein, kami thee kia bahaaron ki
Meri nazron ko bhi koi nazaara mil gaya hota
Agar toofaan nahi aata, kinaara mil gaya hota
Khushi sey apni aankhon ko ashqon sey bhigo leta
Merey badley tu hans leti, terey badley mein ro leta
Mujhe ay kaash tera dard, saara mil gaya hota
Agar toofaan nahi aata, kinaara mil gaya hota
Mili hai chaandni jin ko, yeh unki apni qismat hai
Mujhe apney muqaddar sey faqat itni shikaayat hai
Mujhe toota hua koi, sitaara mil gaya hota
Agar toofaan nahi aata, kinaara mil gaya hota
Mujhe teri mohabbat ka sahaara mil gaya hota
Agar toofaan nahi aata, kinaara mil gaya hota **
This is Mohammad Rafi’s old song. If anyone has the audio for it, would you please upload it here. Thanks.