Ab to har sameay aaNkh purnam hai
Ik tassalsul hai sisskiyon ka rag-e-jaaN mein
Aur us par neeNd bhee kam hai
Mujhe tanha rehne diya hota
Na kuchh keha hota na kuchh sunna hota
Mein Sitaaron ko dekhti to sochti
Key kitney sundar hain charagh roshniyoN key
JuGnu haiN bhaTkey huay jesey bastiyoN key
Ab to sitaaroN key maa’ni hain badal rehay
Ik khayal key samundar mein jesey
Tair kanwal rehay haiN
Ab to dekh kar un ko sochti houn mein
us ka milan bhee hai
Ya is hasti mein duuriyoN ki jalan he hai
Gar tu ney mujhe tanhaa rehney diya hota
To chaand ko dekhh kar mein ye sochti
Ke kya aaj bhee buRiya charkha kaat rehi hai
Kya kabhi is mein koi sachi baat rehi hai
Magar ab to chaand dekh kar khayal tumhara ata hai
Chaand ke aa’inay mein ik aks pyara ata hai
Gar mein tanha hoti
To suraj dhalnay ki saa’ton mein
Mein ney ye socha hota
Key kirnoN ki dosti suud par thee ya zyaN par
Abhi aur kitnay khwaab hain jahaaN par
Magar ab to duubtay suraj key saath jesey
Dil be doob jata hai mera
Tanha hoti Gar jo mein
Thandi meeThi subhoN mein umeed-e-fasl-e-gul hoti
Shabnami khawahishoN mein
Titliyon, parwa’on ki halchal hoti
Magar ab to jesey koi tuufaan pehlay sey he
Mojazan hota hai palkoN sey paray
Khultay he chasham beena
Tip tip barsanay lagta hai
Aur subha ki bey mehri ka nasha
Rag o pey mein utarnay lagta hai
Mujhe tanhaa rehney diya hota to
Koi lamha kamzor na hota
Koi jazba moun zor na hota
Jis rah par kadam partay
Wohi manzal ka raasta hota
Kaash tum ne
Mujhe tanha rehney diya hota
kaaaaash…
Shukr hay main raat ko pait bhar ker nahin khaata… saaray kehl khel laita hoon… neend bhi achi tarah aatie hay… aisay ghorray gadhay bech kar sotaa hoon kay subah koi dholl bhi lay ker peetay tau mijaal hay jo zara tass say mass ho jaaooun… nahin tau mera bhi Mundarjaa baala haal hota
Gham aur khushiyan hamain Khuda kae aur nazdeek ker daeti hain, hamain is baat ka yaqeen ho jata hai kae hamarae liyae jo rasta Khudawand kareem nae banaya hai, hamain sirif usi pae chalna hai aur ham apni merzi sae aik kadam idhar sae udhar nahin ker saktae.