mujhe tan se zyada

this is dedicated to all the members of this forum
From Jhanjharewali, with love.

mujhe tan se zyada us ka mann achha laga tha
aur uski shakhsiyat ka baankpan achha laga tha

garz mujhko nahi thi zahiiri surat se us ki
mujhe to sirf andaaz-e-sukhaan achha laga tha

wo seedhi baat karta tha aksar shayari mein
mujhe uskaa yahi deevanapan achha laga tha

zamaana keh raha tha uske baare mein fasaane
magar mujhko toh us ka har chalan achha laga tha

dhanak ke rung hi bhaate hein aksar lardkiyon ko
mujhe toh ek saada pairahan achha laga tha

bane alfaaz angaarein toh ab hairaan hun mein
ke uske lehje ka dhimaapan achha laga tha

Re: mujhe tan se zyada

thanx
n han boht zabardast ha
nice1

Re: mujhe tan se zyada

wah g wah. Kya baat hai.
Its all about andaaz-e-bayaa'n. Andaaz-e-sukhan

SAIF andaaz-e-baya'n rang badal deta hai
warna dunya mein koi baat naee baat nahi

Re: mujhe tan se zyada

quote=[jhanjharewali]
dhanak ke rung hi bhaate hein aksar lardkiyon ko
mujhe toh ek saada pairahan achha laga tha

bane alfaaz angaarein toh ab hairaan hun mein
ke uske lehje ka dhimaapan achha laga tha

[/quote]

bOhAt bOhAt shukriya dedicatiON KA !!! :)
khush rahiye AmIn !!!

Re: mujhe tan se zyada

Zabardast..

Re: mujhe tan se zyada

thanks dear, it was nice sharing :)

Re: mujhe tan se zyada

wah wah,bohat khubsurat