Mujhe kehnay do

Apnay maazi k tasawwur se hirasan hon main
Apnay guzray hoye ayyam se nafrat hai mujhe
Meri ummidon ka haasil meri kaawish ka sila
Aik bay naam aziyat k siwa kuch bhi nahi
Kitni bay kaar ummidon ka sahara laikar
Main nay aiwaan sajaaye thay kisi ki Khatir
Kitni bay rabt tamannaon k maabham Khaakay
Apnay Khwaabon main basaaye thay kisi ki Khatir
Mujh se ab meri mohabbat k fasaanay na poocho
Mujh ko kehnay do k main nay unhain chaha hi nahi
Or wo mast nigahain jo mujhe bhool gayeen
Main nay un mast nigaahon ko saraha hi nahi
Mujh ko kehnay do k main aaj bhi ji sakta hon
Ishq nakaam sahi zindagi nakaam nahi
Un ko apananay ki Khwahish unhain panay ki talab
Shoq bay kaar sahi say gham anjaam nahi
Wohi gaisoo wohi nazar wohi aariz wohi jism
Main jo chahon to mujhe Or bhi mil saktay hain
Wo kanwal jin ko kabhi un k liye khilna tha
Un ki nazron se bohut door bhi khil saktay hain.

Re: Mujhe kehnay do

Wo kanwal jin ko kabhi un k liye khilna tha
Un ki nazron se bohut door bhi khil saktay hain

Thats good. dependency is not a good virtue

Re: Mujhe kehnay do

yehi jazba agar nakami se pehle hota to kya baat thi

Re: Mujhe kehnay do

wo ishaq hi kia jo ankhon pe pati na bandh dy

Re: Mujhe kehnay do

wo ishq hi kya jo insan ko andha kar de

Re: Mujhe kehnay do

aam taur pe hum js ishaq ka rona rotay hn wo ishaq e majazi hi hota ha, ishaq haqeeqi k baray ap kehna chahain to keh sktay hn