~*~ Mujhe kaghaz ki woh kashti zara phir se bana dena ~*~

http://i56.tinypic.com/t8p1kl.jpg

*Bina jurm-o-khata khud ko koi aisi saza dena
Bahut mushkil hai meri jaan tumhein bilkul bhula dena

Mere maula, agar tu ne dobaara zindagi bakshi
Tau bas itni guzaarish hai mujhe pathar bana dena

Mein zehni taur per khud ko zara tayyar kar lungi
Bichar jaane se kuch pehlay mujhe hamdam bata dena

Tumhari yeh shararat aaj tak naqsh hai dharkan per
Dabay paun chalay aana mera jhumka hila dena

Phir is ke baad jis ke paas bhi tum jao ijaazat hai
Mujhe ek baar apne naam ki mehndi laga dena

Faqat itna kaha thaa na mujhe kuch raushni de do
Tumhein kis ne yeh bola thaa meri basti jala dena

Jissay barish ke paani mein baha kar muskuraatay thay
Mujhe kaghaz ki woh kashti zara phir se bana dena

Umar bhar phir tumhara raasta taknay se acha hai
Ke tum jane se kuch pehle meri ankhain bhuja dena

Tumhein is baar khat mein faqat yeh baat likhni hai
Ke saawan laut aaya hai … Mujhe jhoola jhula dena …
*

Re: ~~ Mujhe kaghaz ki woh kashti zara phir se bana dena ~~

woww
baut hi umda sharing

Re: ~~ Mujhe kaghaz ki woh kashti zara phir se bana dena ~~

boht umdah :k:
boht pyari ghazal share ki hai ap ne Arif bhai:)

Re: ~~ Mujhe kaghaz ki woh kashti zara phir se bana dena ~~

nice

Re: ~~ Mujhe kaghaz ki woh kashti zara phir se bana dena ~~

Excellent Arif..:lajawab:

Re: ~~ Mujhe kaghaz ki woh kashti zara phir se bana dena ~~

Thank you NOREEN, Innocent Smile, clad and Aryaan ...

Re: ~~ Mujhe kaghaz ki woh kashti zara phir se bana dena ~~

V nyce sharing :)