mujhe gallay say laga lo buhat udaas hoon main

mujhe gallay say laga lo buhat udaas hoon main
gham-e-jahaan say churra lo buhat udaas hoon main

Yeh intazar ka dukh abb saha naheen jata
tarap rahi hay muhabbat raha naheen jata
tum apnay paas bula lo buhat udaas hoon main

Har eik saans main milnay ki piyaas palti hay
sulag raha hay badan aur rooh jalti hay
bacha sakko tau bacha lo buhat udaas hoon main

bhatak chukki hoon buhat zindagi ki rahoon main
mujhay abb aa k chupa lo tum apni bahoon main
mera sawal na taalo buhat urdaas hoon main

– Saahir

Re: mujhe gallay say laga lo buhat udaas hoon main

Very nice :k: