*Be-sabab chor diya tum ne koi ilzaam diya hota
Meri khamosh muhabbat ko koi naam diya hota
Mein mar kyon na gaya teri naraazgi se pehlay
Mujhe chorna thaa tau koi laqab-e-badnaam diya hota
Mein umer bhar ke leye nahe kehta ke mera saath de do
Bas jeenay ka koi dilaasa kisi shaam diya hota
Tumhein paanay ki tallab mein kitna roya dil-e-muztar
Raat bhar jaagnay ki ibaadat ka koi in’aam diya hota …
*