Qasam tujhe mere har ek khwaab ki mujhe chor kar na jaana
Sang maarna, zakhm dena, dhoka karna per laut kar waapis aajana
Agar milay har darwaaza band tujhe tere roshni ke shehar ka
Tu mere andheri galeyoon mein mere sath bathakne aajana
Tu samjhay ya na samjhay mera jo hai woh hai sab kuch tera
Jab tu ne kaha thaa ke tu hai meri mein ne sirf us ko sach maana
Tanha kyon chor gaya is gulshan ko bahaar ke mausam mein
Kis kasoti se khizaan ko tu ne sehra ki behtar jaana
Duniya tu pehle hi hansti thee meri qismat per
Tu aik aur hansnay ka na de un ko bahaana
Phir kyon khari hai mere tu aangain mein anjaan ki tarah
Kya nahe thaa pehle mere ghar mein tera aana jaana
Saza agar deni thee mujhe tu meri zindagi mein deti ay Dost
Chor de mere laash per roz aanso bahaana phool charhaana …