Mujhe tum yaad aatay ho
Har us raastay pe
Har us raah pe
Jis pe tum chaltay thay
Aur
Tumhare naqsh-e-paa
Mere qadmoon ki aahat se jaltay thay
Kabhi ruktay thay
Kabhi murrtay thay
Kabhi bahut thak jaya kartay thay
Mujhe tum yaad aatay ho
Mujhe tum yaad aatay ho
Har us mausam main
Jo tumhari yaad ke jalloo main
Badal jaata hai
Jo tumhari baatain mujhay kaanon main sunata hai
Jo tumharay aane ki naveed mujhe dilata hai
Jo tumhari muskaan laboon say churaa kar
Meray daaman main daalta hai
Jo tumhaari sada mujh tak pohnchata hai
Aur
Mera payam lay jaata hai tum tak
Mujhe tum yaad aatay ho
Mujhe tum yaad aatay ho
Har us saawan main
Jo badliyon ki o’out say jhankta hai zameen ko
Aur
Us ki har boond
Meri chashm-e-tar say ziada na barsi ho
Jis ki aamad pay mere nain
Samandar jaisay hi jaain
Jis ki sarsarati hawaain
Tumharay shararati man ki tarah
Mere aanchal ko lah-raain
Aur
Mujhe kai geet sunain
Aur chairrti hoi bhaag jaain
Aur
Main kai kai din khoi hoi
Tumhari baaton say dil ko bahlai
Holay holay kai loriyan day kar
Apnay man ko sulaa-oon
Bas
Kisi aisay hi mousam main
Kuch aisi fiza main
Kuch aisi rah main
Mujhe tum yaad aatay ho
Bohat ziada yaad aatay ho
Main apnay man say kehti hoon
Lot aao ke ab tum
Mujhe bahut rulaatay ho
Mujhe tum yaad aatay ho
Meri jaan
Ke mujhe tum ab har lamha yaad aatay ho…