mujhe apne zabt pe naaz tha,sar-e-bazm raat ye kya hwa,
meri aankh kaise chalak gai, mujhe ranj hay ye bura howa
meri zindagi k charagh ka ye mizaaj koi naya nahi,
abhi roshni abhi teergi, na jala howa na bujha howa
mujhe jo bh dushman-e-jaan mila,wohi pukhta kaar-e-jafa mila,
na kisii kii zarb ghalat parii na kisii ka teer khata howaa
mujhe aap kiyu na samajh sake, kabhi apne dill sey bhi pocheye,
meri dastaan-e-hayaat ka tu waraq waraq hay khula howa
jo nazar bacha k guzar gay merey saamne sey abhi abhi,
ye mery hi shehr k log they, merey ghar sey ghar hay milaa howa
humain is ka koi bhi huq nahi k shareek-e bazm-e-kholoos hon,
na humarey paas naqaab hay, na kuch aasteen main chupa howa
merey aik gosha-e-fik’r main, meri zindagi sey aziz tar,
mera aik aisa bhi dost hay, jo kabhi mila na juda howa
mujhe ik gali main para howa, kisi badnaseeb ka khat mila,
kaheen khoon-e-dill sey likha howa, kaheen ansoon sey mita howa
mujhe hum-safar bhi mila koi tu shikasta haal meri tarha,
kai manziloon ka thaka howa, kaheen raaste main luta howa
humain apny ghar sy chaly howe, sar-e-raah um’r guzar gaii,
koi justuju ka sila mila, na safar ka huq hi ada howa…