Agar kuch naam daina ho
Mujhe insaan mat kehna
Juda chehre, juda be-shak sabhi ke kaam hotay hain
Magar insaneyyat ke ab yahaan per daam hotay hain
Mere tum daam mat daina
Mujhe yeh naam mat daina
Agar kuch naam daina ho
Mujhe ehsaas keh dena
Magar thehro
Mujhe ehsaas mat kehna
Mera bas naam reh jaye mujhe aise nahe rehna
Mujhe ehsaas mat kehna
Agar kuch naam daina ho
Mujhe saawan hi keh daina
Magar thehro
Mujhe saawan nahe kehna
Barasta hai magar rutt ke badaltay beet jaata hai
Mujhe saawan nahe kehna
Agar kuch naam daina ho
Mujhe aansoo hi keh daina
Jannam laina kisi ki aankh mein
Rukhsaar per marna
Yehi jis ki haqeeqat hai
Chalo aansoo hi keh daina
Magar dekho
Kisi ki aankh mein mujh ko
Kabhi aanay nahe daina
Ke qeemat aanso’oun ki ab ada tum se nahe hogi
Nahe tum yun nahe kehna
Mujhe aansoo nahe kehna
Mujhe aankhoon mein basta ek haseen sapna hi keh daina
Ke sapnay aankh mein taaroon ki tarah jhil’milaatay hain
Magar thehro
Mujhe sapna nahe kehna
Ke sapnay toot jaatay hain
Mujhe apna nahe kehna
Ke apnay rooth jaatay hain …
Re: ~~ Mujhe apna nahe kehna ... Ke apnay rooth jaatay hain ~~
wah ji ....
Re: ~~ Mujhe apna nahe kehna … Ke apnay rooth jaatay hain ~~
niceee :k: