~*~ Mujhe apna nahe kehna ... Ke apnay rooth jaatay hain ~*~

* Agar kuch naam daina ho Mujhe insaan mat kehna Juda chehre, juda be-shak sabhi ke kaam hotay hain Magar insaneyyat ke ab yahaan per daam hotay hain Mere tum daam mat daina Mujhe yeh naam mat daina Agar kuch naam daina ho Mujhe ehsaas keh dena Magar thehro Mujhe ehsaas mat kehna Mera bas naam reh jaye mujhe aise nahe rehna Mujhe ehsaas mat kehna Agar kuch naam daina ho Mujhe saawan hi keh daina Magar thehro Mujhe saawan nahe kehna Barasta hai magar rutt ke badaltay beet jaata hai Mujhe saawan nahe kehna Agar kuch naam daina ho Mujhe aansoo hi keh daina Jannam laina kisi ki aankh mein Rukhsaar per marna Yehi jis ki haqeeqat hai Chalo aansoo hi keh daina Magar dekho Kisi ki aankh mein mujh ko Kabhi aanay nahe daina Ke qeemat aanso'oun ki ab ada tum se nahe hogi Nahe tum yun nahe kehna Mujhe aansoo nahe kehna Mujhe aankhoon mein basta ek haseen sapna hi keh daina Ke sapnay aankh mein taaroon ki tarah jhil'milaatay hain Magar thehro Mujhe sapna nahe kehna Ke sapnay toot jaatay hain **Mujhe apna nahe kehna Ke apnay rooth jaatay hain ...**

Re: ~~ Mujhe apna nahe kehna … Ke apnay rooth jaatay hain ~~

Lajawaab** Arif**..:lajawab:

Re: ~~ Mujhe apna nahe kehna … Ke apnay rooth jaatay hain ~~

Good one :k:

Re: ~~ Mujhe apna nahe kehna … Ke apnay rooth jaatay hain ~~

very nice :k:

Re: ~~ Mujhe apna nahe kehna … Ke apnay rooth jaatay hain ~~

:lajawab: amazing…

Re: ~~ Mujhe apna nahe kehna ... Ke apnay rooth jaatay hain ~~

Wah wah wah!!!

Re: ~~ Mujhe apna nahe kehna ... Ke apnay rooth jaatay hain ~~

nice

Re: ~~ Mujhe apna nahe kehna ... Ke apnay rooth jaatay hain ~~

half parhi hai ...and its nice