Tujh say bichraa hoon toh aaj aaya mujhe apna khayal
Aik qatra bhi nahi baaqi kay hoon palkein toh numm
Meri aankhon kay samander kaun sehra pee gayay
Aik aansoo ko tarastee hai meri taqreebay ghum
Mein na roo paaya toh socha muskura kay dekh loon
Shayed kay iss bejaan pekar mein zinda koi hoo khawab
Per laboan kay berhana shaakhchoun per abh kahan
Muskurahat kay shagufay khanda-e-dil kay gulab
Kitna veeran hoo chuka hai meri hasti ka jamaal
Tujh say bichraa hoon toh aaj aaya mujhe apna khayal
Koyal
2
Re: Mujhe apna khayal ayaa
:k:
ullujii
3
Re: Re: Mujhe apna khayal ayaa
thank you 
Azad
5
Yeh khayal Suraj nikalnay kay baad hi aya hoga
Koyal
6
ye khayal suraj dhalnay k baad wala nahi hia ye chand k niqlanay per ata hia …khushfahmi 
ullujii
7