**Tum hi ko dekhte rehna
Tum hi ko chahte rehna
Tum hi ko sochte rehna
Tum hi ko sunte rehna
buhat gehre khyalon mai
jawabon mai
sawalon mai
muhabbat k hawalon mai
Tumhara naam aa jana mujhe acha sa lagta hai
Tumhare sang sang chalna
wafa ki aag mai jalna
Tumhe naraz kar dena
kabi khud b roth jana
Tumhari be rukhi pe b tumhari arzoo karna
kabhi apne dil ki dharkan se tumhari guftugo karna
Mujhe acha sa lagta hai.**