Mujhay Yaad Hai

Mujhay Yaad Hay
Pichley Saal Inhi Dinoun Main
Main Nay Tumhain Apney Andar
Saatween Baar Qatal Kar K Waheen Kaheen
Kisi Weeraaney Main Dafan Kia Tha
Or Tumhaari Qabar
Faramoshi K Bhaari Patharoun Say Bhar Di Thi
Or Us Say Pehlay Aik Baar
Door Daraaz Say Aaney Waaley Kisi Dev-Heekal
Parindey K Pairoun Say
Tujhay Baandh Kar Urha Dia Tha
Or Phir Us Say Bhi Pehlay Inhi Dinoun Main
Main Nay Tumhain Mukammal Taur Par Jala Kar
Tumhaari Raakh Aik Taiz Raftaar Daryaa Main
Bahadi Thi..
Lakin Is Saari Jaan Kaahi K Bawajood Tum Aaj Phir
Hamaisha Ki Tarah Meri Aankhoun Main Aankhain Daaley
Meray Dil Ko Apni Muthi Main Jakrhey
Meray Saamney Kharey Ho!!

Re: Mujhay Yaad Hai

niceeeeee

Re: Mujhay Yaad Hai

thanks sunny

Re: Mujhay Yaad Hai

Bra sakht jan dheet bnda hy LAgta hy Indian Awa gon ka chakar hy sat janm ky bad is bar war kro phir nahi ay ga:D
Wasy mazy ki nazm or khiyal hy.:rose:

Re: Mujhay Yaad Hai

ji haan ye khayal hi hai ,,warna itna dheet bhi koi nahi hota ,thanks for liking poetry :)

Re: Mujhay Yaad Hai

Very nice :k:

Re: Mujhay Yaad Hai

nice 1

Re: Mujhay Yaad Hai

Isay kahte hein Nehlay Pe Dahla
Aik Dafna raha hai Dusra wapis araha hai
Zalim donoun hi hein Dafnane wala bhi wapis Ane wala bhii

Nice Good Choice I am Impressed

Re: Mujhay Yaad Hai

thanks prince,dani and gondal

Re: Mujhay Yaad Hai

beautiful :flower1:

Re: Mujhay Yaad Hai

Mujhe bhee yaad hai :chai:

Re: Mujhay Yaad Hai

thanks hearthacker,aur capricorn aisi baatain yaad hi rakhi jati hain :)

Re: Mujhay Yaad Hai

Aur in yaadon ke peeche pooree umar bhee ganwaanee partee hai :slight_smile:

Re: Mujhay Yaad Hai

Zahe naseeb…aap kahan paayee jaatee hain aajkal? :slight_smile: