tumhain janay ki jaldi thi
so apni jald baazi main
tum apni lams ki kirnain
nazar kay zawyay
poron ki shammmain
meray seenay main
dharakta chor aye ho
waha takyay k neechay
kuch sunehray rung ki
tooti hui sansain
kisi no-zayeda khushboo
k taazaa khuwabb thay
bistar ki shiknon main
giray kuch khoobro lamhay
dressing room main
hanger say latki aik sad rangi hansi ko
bass achanak he pas-e-parda
latakta chor ayay ho
tumhain janay ki jaldi thi
ab aisa hai k jab bhi
bay khayali me sahi
lakin kabhi jo iss taraf niklo
to itna yaad rakhna
k ghar ki chaabi
sabar darwazay k bayen hath par
aik khool me rakhi milege
aur tumhain maloom hai
kapron ki almaari hamesha say khuli hai
safe ki chaabi to tumnay khud he gum ki thi
to wo tab say khula hai
aur uss main
kuch tumhari choryan
aik aadh angoothi
aur un k beech main kuch zard lamhay
aur un lamhon ki girhon me bandhin
kuch lams ki kirnain
nazar k zawyay
poroon ki shammmain
aur sunahiray rung ki
tooti hui shakhain milengi
aur wo sub kuch
jo mera aur tumhara mushtarik asasa hai
simat payay to lejana
mujahy janay ki jalde hai
kal tumhain janay ki lade thi
na waadaa yaad rakha hai
na batain yaad rakhi hain
na qasmain yaad rakhi hain
yeh sub kuch bhool kar tum
kiss qadar jaldi chalay jatay ho
nahi yaad kuch bhi ab
na main hon yaad tum ko
aur na waadaa wafa tumhain
wo qasmain kia huwin
wo waday kia huway
akaila honn
main iss kamray main biklul akaila
meri neendain uri hain
meri ankhon main jaltay khwaab hain
merray seenay main ghut’ta dum hai
mujhay tum yaad atay ho
achank he chalay janay ki
tumhainn jaldi thi jana
MUJHAY TUM YAAD ATAY HO
MUJHAY TUM YAAD ATAY HO