Mujhay tum yaad aa’tay ho
Kahein baarish baras jaey
Kahein Sehra taras jaey
Kahein Kaali Ghata utray
Kahein baad-e-saba tehray
Tumharay Aur meiray darmiya’n
Aa’kar Khuda tehray
To meiri zindagi kay awwal.o.aakhir
Tum is lamhey
Khuda kay baad aa’tay ho
Mujhay tum yaad aatay ho…
Farhat Abbas Shah.