mujhay tum say muhabbat ho gayi thi …
kay tum apnay akailay-pan kaa dukh lay kar meray restay main aaye they…
tumhaari aankh say tanhaayi kaa aazaar behtaa thaa …
so main nay tum ko aisay logon say milaaya …
aisi mehfilon kee awwalee’n saf pay bithaaya …
jahaan honton kee jumbish nojawaa’n qisson main dhalti hay …
qehqahon kee rasm chalti hay …
tumhain apni sama’at say bhi shikwaa thaa …
kay tum nay naghmagi kay din nahee daikhay
haraf ko awaaz kay pehloo main khaabeedaa nahee paaya …
tumhaari guftagoo maayoos sannaaton ka jangal thi …
so main gungunaati subhaa kee maanind lehjon ko …
tumhaari rooh kee mehroom khilwat main bulaa laaya …
kayi rass gholti shaamain tumhaari rooh main aabaad kar daalee’n ..
mager honaa wohi thaa …
mager honaa wohi tha jo ta’aluq jornay waalon kaa daireenaa muqaddar hay …
guzishtaa raat tum nay mujh ko bay-masraf samajh kar …
apnay hangaamon par nazar rakhi …
lihaazaa abb ijaazat do …
meray restay kee jaanib ghor say daikho …
wo daikho aik darmaandaa musaafir …
meri qurbat kay liye bay-chain lagtaa hay …
tum uss kee aankh say tanhaayi ka aazaar behta daikh saktay ho …
ussay apni sama’at say bhi shikwaa hay …
aur uss kee guftagoo maayoos sannaaton kaa jungal hay …