*Mujhay tum say mahabbat hay
bohot aasaan hai kehna
magar jab baat aati hai
mahabbat ko nibhane ki
amal kuch kar dikhane ki
to aksar ye bhi hota hai
bohat say toot jatay hain
chura kar hath hathoon say
bohat say lot jatay hain
mahabbat bhool jatay hain
bohat kam aesay hotay hain
mahabbat kay liey jin ko
bohat kuch sehna parta hai
or aksar ye bhi hota hay
guzarna jaan say parta hai
naheen wo toottay phir bhi
chura kar hath hatoon say
naheen wo lottay phirbhi
mahabbat yaad rakhtay hain
Mujhay tum say mahabbat hai
*
*If you love someone, put their name in a circle, instead of a heart, because hearts can break, but circles go on forever!! *
~Gracias Adiós~