Humara al’mya yeh hay
Kah hum aik dosray kay qarb say sarshaar ho kar bhi
Ana aur khauf kay sa’ey main umrain kaatt daytay hain
Hijaab e bay sabab
Yoon zindagi bhar ki pashaymaani main Dhalta hay
Kah apnay aap say nafrat sii ho jaey
TALASH e Lamha’e IZHAR main…kitnay zamanay beet jaatay hain
Magar iqraar ka mausam naheen aata
So jab iqraar ka mausam naheen aata
Tou phir um’meed khwaaboon kay dareechoon par koi dastak naheen daytii
Nah Dasht e Aarzoo main aas ki barish barasti hay
Badan ki raakh main koi sharar baqi naheen bachta
Faqat
Ik rai’gaan ahsaas ki sorat gari tashkeel paati hay
Yeh ahsaas e ziyaan
Chahay rag e jaan main utar ja’ey
Kah aankhoon main bikhar jaey
Magar hum phir bhi
apni buzdili aur bay yaqeeni kah sabab ik dosray say kah naheen saktay
Mujhay Tum Say Muhabbat Hay
Mujhay Tum Say Muhabbat Hay
By Nazeer Tabassum