Mearay saathi !
Meari yeh rooh’ mearay jisam say parwaz kar jaay
tu laut aana
meari bay-khawab raaton kay aazabon par
sisakatay shehar mein tum bhi
zara si deir ko rukna
mearay bay-noor honton ki duaon par
tum apni sard peashani ka pathar rakh kay roo deana
bass itni baat keh deana
“Mujhay tum say muhabbat hay” ![]()
Re: “Mujhay tum say muhabbat hay”
Nice one faithful,
Ya to hamari pasand unbelivable hud tak miltai hay…
Ya tum ye sab meri diary say daikh kar likh rahay ho…
.
.
.
Lols ![]()
Re: "Mujhay tum say muhabbat hay"
heheh...niceee
Re: "Mujhay tum say muhabbat hay"
thanx every one
well nakhan mein nay appki diery say kuch nahi churia:D haan pehli wali baat right ho sakti hay :)
Re: “Mujhay tum say muhabbat hay”
Beautiful… ![]()
Re: “Mujhay tum say muhabbat hay”
To ho jay phir aik aik Nazam aik dosray k liye.
Then tell me that do u have it in your collection or not!
will recv soon One for u ![]()
Re: “Mujhay tum say muhabbat hay”
To Ye lijiye janab, ye aap k liye my one of fav ![]()
Hawa ko likhna jo aa gaya hay
ab us ki marzi k wo khizaan ko bahar likh day
bahar ko intizaar likh day
Safar ki khawahish ko wahimoon k azab say hamkanar likh day
Wafa k rastay pay chalnay waloon ki qismatoon main ghubaar likh day
Hawa ko likhna jo aa gaya hay
Hawa ki marzi k wisil mosam main hijir ko hissa daar likh day
Mohabbaton main guzarnay wali rutoon ko na-pa.edar likh day
Shajar ko kum saya daar likh day
Hawa ko likhna jo aa gaya hay…
~Noshi Gilani~
Re: “Mujhay tum say muhabbat hay”
nice1, :k: