MUJHAY TUM SAY MOHABAT HAI…!
Maree jaa’n theek kahtee ho
hamaree iss mohabat ka
bhala kya faida ho ga
hamaray darmiyan jo dorian hain
kam nahinhon ge
kabhi barish kay mausam mein
hamesha sath rahnay ki
jo khahish dil mein jagee the
jo sapnay hum nay dekhay thay
woh sapnay toot jayin gay
maree jaa’n theek kahtee ho
muqadar k likhay ko hi agar tasleem karna hai
**tu aisee mohabat ka **
koi bhi faida kaisa?
magar iss ko agar chaho
tu maree bay basee kah lo
mujhay tum say mohabat hai…!!!