mujhay tum kia bataogi
k jub say mujh say bichri ho
buhat bay chain rehti ho
meri batain satati hain
meray lafzon k jugno
aik pal ojhal nahi hotay
meri nazmain rulati hain
meri ankhain jagati hain
mujhay tum kia bataogi
k tum nay barha ajnabi chehron k jungle main
meray chehray ko dhoondha hai
kisi manoos lehjay par
kisi manoos ahat par
palat kar aisay dekha hai
k jaisay tum meri mojodgi mehsoos karti ho
mujhay tum kia bataogi
k kitni shabnami shmain
teheltay sochtay guzrin
k kitni chandni ratain
duayin mangtay guzrin
k kitnay ashk aisay thay
jo girtay he rahay dil main
mujhay tum kia bataogi
meri jan! main samjhta hon
tumhari an kahi batain
k main in mausmon k
aik aik rastay say guzra hon
main ab bhi lafz bunta hon
main ab bhi ashk chunta hon
k jab say tum say bichra hon
tumhari zaat par guzray
main har mausum main rehta hon