fghd
April 4, 2007, 1:07pm
1
**Yeh zara zara si baat par tarha tarha kay azaab Q **
** Jo kisi se bhi khafa na ho, mujhe uss khuda ki talaash hai **
** Mujhe laghzishon peh harr ghari koi tok-ta hai baar baar **
** Jisey kar ke dil ko dukh na ho, mujhe uss gunaah ki talaash hai **
** Main dhoondta hoon woh khizaan jisey gulshanon se pyaar ho **
** Jisey kisi charaagh se na bair ho, mujhe uss hawaa ki talaash hai **
** Mujhe uss nagar ki hai justuju jahan koi bhi chahata nahi lahoo **
** Jahan hirann ko sher se darr na ho mujhe uss jagah ki talaash hai **
** Yahan ik lamhey ke parraao mein mere saare phool jhulas gaye **
** Ab jahan talkhiyon ki tapish na ho, mujhe uss fiza ki talaash hai **
** Bina humsafar ke kab talak koi musafiton mein laga rahe **
** Jahan koi kisi se juda na ho, mujhe uss raah ki talaash hai **
** Mujhe dekh kar jo ik nazar mere saare dard samajh sakey **
** Jo iss Qadar ho chara-gar, mujhe uss nigaah ki talaash hai**
P_G
April 4, 2007, 1:25pm
2
Re: ..mujhay Talaash hai!
awesome choice Emm ..bohat zabardast
pehlay walay shair per main kuch confuse hoon ..pata nahi kia tashreeh hay us ki
fghd
April 4, 2007, 1:32pm
3
Re: ..mujhay Talaash hai!
^ think of it this way ...
when ppl do bad things ... like sin n stuff ..
they r given warnings through nature by Allah (s.w.t) but if ppl r still continuing their sins .. nature takes its call and through earthquake/tsunami or other disasters that part of the world is destroyed...
thats what I thought....get it?
AQ
April 4, 2007, 1:42pm
4
Re: ..mujhay Talaash hai!
jo har baat par sar jhukaaye
jo meraY har ik sher par daad daY
jo luTaaye baY hisaab Maal-O-zar
mujhaY aisaY saama’Y kee talaash hai
– AQ
fghd
April 4, 2007, 1:46pm
5
Re: ..mujhay Talaash hai!
jo har Mod ki jaan khaye
jo har mod ki ghalati pakray
jo batein bohut bari bari karay
mujhay aisey hi aik guppy ki talaash hai
–EMM
AQ
April 4, 2007, 1:51pm
6
Re: ..mujhay Talaash hai!
Woh jo “darmiyaana ravi” kaY liye chunna gayaa
Woh jo “har ik” kaa reh numaa huaa
woh hee lagaaye jub nishtar-o-teer ki za’d-o-kaub
mujhaY uss “Naa khudaa” saY kiyaa waastaa
woh jo ma’sha’L-e-Rah bannaY
woh jo qaazi-e-insaaf ho
mujhaY aisaY Darmiyaan roh (moderator) kee talaash hai
– AQ
fghd
April 4, 2007, 1:59pm
7
Re: ..mujhay Talaash hai!
woh jo itni mushkil urdu jaan boojh kar bolay
wo jo itni bari baat asaan lafzoun may keh jaye
woh jo ham (mods) say khafa khafa phiray
woh jo uss ki talash karay jo kay uss kay saamnay hai ]
mujhay aisey hi aik umeed-Waar ki talaash hai
EMM
AQ
April 4, 2007, 2:03pm
8
Re: ..mujhay Talaash hai!
pehlaY apnaY sheroN kee nok palak saNwaaro, qafiye milaao, radeef kaa kuch khayaaL karo, tukk bandi kaa baY tukka pa’n choRo, phir jawaab dooN gaa
fghd
April 4, 2007, 2:05pm
9
Re: ..mujhay Talaash hai!
aap sikha dein na
im not even closeeeeee to what u r in writing poems …
so pass my skills n present urs
ehsan
April 4, 2007, 2:41pm
10
Re: ..mujhay Talaash hai!
Mujhe dekh kar jo ik nazar mere saare dard samajh sakey
Jo iss Qadar ho chara-gar, mujhe uss nigaah ki talaash hai
Wah wah, bauhat khoob. <!-- / message -->
Re: ..mujhay Talaash hai!
Yahan ik lamhey ke parraao mein mere saare phool jhulas gaye
Ab jahan talkhiyon ki tapish na ho, mujhe uss fiza ki talaash hai
Bina humsafar ke kab talak koi musafiton mein laga rahe
Jahan koi kisi se juda na ho, mujhe uss raah ki talaash hai
Mujhe dekh kar jo ik nazar mere saare dard samajh sakey
Jo iss Qadar ho chara-gar, mujhe uss nigaah ki talaash hai
:k:
IS
April 4, 2007, 3:33pm
12
Re: ..mujhay Talaash hai!
*EMM yaqeen nai a raha hay k yea Evil MAssi Khala nay post ke hay *
*PS:- Very NIce :-) *
SJ
April 4, 2007, 3:51pm
13
Re: ..mujhay Talaash hai!
*Mujhe uss nagar ki hai justuju jahan koi bhi chahata nahi lahoo
Jahan hirann ko sher se darr na ho mujhe uss jagah ki talaash hai *
bohat khoob!!!!
:)
P_G
April 4, 2007, 5:18pm
14
Re: ..mujhay Talaash hai!
nahi mujhay yeh samjh nahi araha
jo kissi say bhi khafa no mujhay us khuda ki talash ..is shair say kia muraad hay
naaozibillah agar is ka yeh mutlub niklay kay Allah mian ki teraf say jo pakkar gunaahoon per hay …yeh kion hay or koi aisa khuda ho jo bilkul saza na day ufffffffffffffffff
main bohat confuse ho rahee hoon !
Re: ..mujhay Talaash hai!
Its such a beautiful piece of poetry.
fghd
April 4, 2007, 8:08pm
16
Re: ..mujhay Talaash hai!
I always come with a special piece
**PG: **dont think too deep though u have a point.
Everyone else .. thanx :k:
AQ
April 4, 2007, 8:11pm
17
Re: ..mujhay Talaash hai!
**Everyone **else .. thanx
everyone wala nick tau bann ho gayaa thaa :(
fghd
April 4, 2007, 8:13pm
18
Re: ..mujhay Talaash hai!
acha .. really?
u mean .. multinick wala? kabb?
AQ
April 4, 2007, 8:20pm
19
Re: ..mujhay Talaash hai!
2002 maiN
fghd
April 4, 2007, 8:23pm
20
Re: ..mujhay Talaash hai!
oh .. I thought u r talking about the other one :D