TumhaiN jub kabhi milaiN fursataiN, meray dil say bojh utaar dau
MaiN bahut dinouN say udaas hooN, mujhay koie shaam udhaar dau
Mujhay apnay roop kee dhoop dau kay chamak sakain meray khad-O-khaal
Mujhay apnay rang maiN rang dau, meray saaray zang utaar dau
Kissi aur ko meray Haal say na Gharz hay na koie waastaa
maiN bikhar gayaa hooN, samaiT lo, maiN bigaR gaya hooN saNwaar dau
Mairee waihshatouN ko baRhaa diyaa hay judaaiyoun kay azaab nay
Mairay dil pay haath rakho zara, mairee dhaRkanoun ko qaraar dau
tumahaiN subhu kaisee laggi kaho mairay chahatoun kay diyaar kee?
jo bhali laggi tau yeheeN raho, issay chahatoun say nikhar dau
wahaN ghar maiN kaun hay muntazir kay ho fik’r dair sawair kee
baRi mukhtasir si yeh raat hay, issi chaaNdni maiN guzaar dau
koie baat karni hay chaaNd say, kissi shaakhsaar kee OoT maiN
**mujhay raastay maiN yaheeN kaheeN, kissi kunj-e-Gul maiN utaar dau **
—Aitebaar Saajid
![]()