Mujhay qatra qatra pila zehr


**Mujhey arzoo e seher rahi yunhi raat bhar bari dair tak

Na bikhar sake na simat sake yunhi raat bhar bari dair tak

Hai bohat azaab aur akaily hum, shab e gham bhi meri taweel tar

Rahi zindagi bhi saraab aur rahi aankh tar bari dair tak

Yahan har taraf hai ajeeb samaan, sabhi khud pasand, sabhi khud numa

Dil e be-qaraaar ko na mila koi chara gar bari dair tak

Mujhay zindagi hai aziz tar isi wastey mery hamsafar

Mujhay qatra qatra pila zehr, jo karey asar bari dair tak

Na sakoon e jaan na shreek e gham mila is jahan mein chaar su

Teri yaad thi meray saath jo rahi dar ba dar bari dair tak

Yahan shehar e dil bhi udaas hai aur ujaar ujaar si rah guzar

Rahey teray baad dhwaan dhwaan meray baam o dar bari dair tak**

Re: Mujhay qatra qatra pila zehr

Nice Sharing…:k:**

isi khayal se shab bhar mein so nahi sakta
k khof-e-khuwab-e-guzashta jaga na de mujh ko**

Re: Mujhay qatra qatra pila zehr

Nicee

Re: Mujhay qatra qatra pila zehr

very Excellent :@:

Re: Mujhay qatra qatra pila zehr

sirf sehar ki aas mi jab tum akhrey shab tak jaagey ho
so mat jana jagne walo! es key baad ujalay haein:wub:

Re: Mujhay qatra qatra pila zehr

wah