**Ye AankhooN se AankhooN ka milna hay kia
bina bolay hoontoN ka hilna hay kia
mujhay inka matlab tou samjhaiye
khayalooN maiN phoolooN ka khilna hay Kia
Na youN chup raho mujhko aawaz do
Mujhay ghutke marnay ki aadat naheeN
Battoo tumhaiN pyar kaisay karooN
Mujhay pyar karnay ki aadat naheeN
maiN jesa bhi hooN saamnay houN khaRa
Mujhay kuch chuppanay ki aadat naheeN**