**Ye AnkhooN se AnkhooN ka Milna hay kia
Bina Bolay HonTooN ka Hilna hay kia
Mujhay Inka Matlab tou samjhaiye
KhayalooN maiN phoolooN ka khilna hay kia
Na yuN chup raho, mujhko awaz dooo
Mujhay ghuT ke marnay ki aadat naheeN
Bataoo TumhaiN Pyar kesay karooN
Mujhay Pyar karnay ki aadat naheeN
Mujhay kuch hua hay pata hay tumhaiN?
BaRI nam hawa hay, pata hay tumhaiN?
Badan Jal raha hay, RagooN maiN magar..!
Lahoo jam gaya hay, pata hay tumhaiN?
Ye dil kesay choori kia jayega?
Mujhay dil Churanay ki aadat naheeN.**
abc1234
November 24, 2004, 11:02am
5
wah ji wah bohot khoob :k:
Nayab
November 24, 2004, 11:37am
7
Hmm isliye bhi kaho ke kohi na kohi baat zaroor he..:)
mujhy dil churany ki adat nahi hai
nice :k:
Koyal
November 25, 2004, 4:50am
12
mujhay dil churnay ki adat hia nice one golden baji :k:
Reet … Shukria.
MeeThay …
Aryaan … Nawazish..
Irem .. Bas aap ki Dua hay …
ViVo … Tnx
Nayab … Kuch na kuch baat tou hoti hi hay
X_C … Tnx ..
Kamal … Shukria…
Chand … Ab naheeN hai tou Kia karooN
HH Sweety… Tnx
Koyal MamooN … shukria…
And… Aaakhir maiN.. Tnx to all.. for Likiing.. Iss ke I thikn 2 more Band bhi haiN.. jo mujhay bhool gaye hiaN
HAMMAD
November 29, 2004, 1:54pm
16
Re: Mujhay Pyar karnay ki Aadat naheeN
*Originally posted by Golden Scorpion: *
**Ye AnkhooN se AnkhooN ka Milna hay kia( kia han kiaa damkee dayta ha :p;
Bina Bolay HonTooN ka Hilna hay kia(pagal hia maroooOOOOO :D
Mujhay Inka Matlab tou samjhaiye ( time nahi hia
KhayalooN maiN phoolooN ka khilna hay kia(( aby kam kar kamm :p
Na yuN chup raho, mujhko awaz dooo (( chup rakh kay awaz :yawn:
Mujhay ghuT ke marnay ki aadat naheeN ( aagh laga doon bolo to
Bataoo TumhaiN Pyar kesay karooN ((sharam kar sharam
Mujhay Pyar karnay ki aadat naheeN(( wo to paaata hia sab ko
Mujhay kuch hua hay pata hay tumhaiN?((ALLAh bachye tum jasyoo say
hhhhhhhhhhhahaaha
BaRI nam hawa hay, pata hay tumhaiN?(( kaala muj kar dia humara
Badan Jal raha hay, RagooN maiN magar..!((yee to hona he hia
Lahoo jam gaya hay, pata hay tumhaiN?((hum ko kia pata bhiii
Ye dil kesay choori kia jayega?((ab too kuch khayal kar lo
Mujhay dil Churanay ki aadat naheeN((chore kide kay.**
hope u lie amendenmentdss :
Lamhay
November 29, 2004, 2:17pm
17
bahut khoob Thanks 4 sharing Gs !
leading from the front :k: bahut khhosurat !
Re: Re: Mujhay Pyar karnay ki Aadat naheeN
Q. Hammad Kia Cheez hay?
A. Hamaad Uss Makhlook ka naam hay jo kabhi Sudhar hi naheeN sakti.
Mujhay tou Ammendment pe koi aitraz naheeN hay but.. Jiss UNCLE ki Shairi hay agar uss ne dekh lia tou … Tum ko Qatal kar ke Khudkushi kar lega