Kisi gham gusaar kee mehnaton ka yeh khoob main ne silaa diya
Kay jo mere gham main ghula kia usay main nay dil se bhula dia
Jo jamaal e rooh e hayaat tha, Jo daleel e raah e nijaat tha
Usi raah-ber k naqoosh e paa ko musaafiron nay mita dia
Main tere mazaar kee jalion hee ki midhaton main magan raha
Tere dushmanon ne tere chaman main khizaan ka jaal bichha diya
Tere husn e khulq ki ik ramaq meri zindagi main na mil saki
Main isi main khush hoon kay shehr kay dar o baam ko to saja diya
Tere saur o badr kay baab kay main waraq ulat kay guzar gya
Mujhay sirf teri hikayaton kee riwayaton nay maza dia
Yeh meri aqeedat e bay basar Yeh meri riyazat e bay hunar
Mujhay mere daawa e ishq nay na sanam diya na khuda dia
Tera naqsh e paa tha jo raah numa, to ghubaar e raah thee kehkashan
Isay kho dia to zamanay bhar nay humain nazar se gira dia
Kabhi aay inaayat e kam nazar, tere dil main yeh bhi kasak hui
Jo tabassum e rukh e zeest tha, usay tere gham nay rula dia****************************