Mujhay Maloom hai................

mujhay maloom hai tum mujhko aksar bhool jatay ho
haseen shamon mein
ya phir kisi asooda saa’t mein
samander ke kinaray baith ker
kaali ghata ke raqs mein
ya jhilmilati chand raaton mein
kisi bhi baat pe be-sakhta hanstay huey
ya be wajha udasi mein
shehar ki ronaqon mein
be sabab bechainiyon mein
raat ko bistar pe yunhi lait ke
kuch soachtay mein
mujhay maloom hai tum mujhko aksar bhool jatay ho
tumhein in unginat kaamon mein mera yaad aa jana
bohat asan nahin shayed
magar dushwar bhi itna nahin hai
ke jitna tum samajhtay ho
magar phir bhi mujhay shikwa nahin tum se
mujhay maloom hai tum mujhko aksar
bhool jatay ho…!

by:maheen sajid

bohut nice.

nice…:k:
bas aik baat hai…bhool janay wale ko itna yaad karna, shayd acha nahi?

Zabaardast expression in conveying shikwa :k:
PS:- By the way yeh itna bad-zoq hain kaun jo aap ko bhool jata hai? :halo:

Lovely, Maheen buhat khuubsurat Nazm hay issi tarah likhtii rahiye , and thanks for sharing :-)

MaiN tou har Lamhaa tujhay yaad kiyey jaati huuN
Yunhii kahtii hun Tujhay yaad karun ya naa karun :~)

boht ache hei :)

kabhi poochho us say keh kion bhoolta hai woh

very nice

:k: nice

Wah..

zabardast, bohat achi hai.. :k::k:

[QUOTE]
*Originally posted by GuL-e-Tasbeeh: *
Lovely, Maheen buhat khuubsurat Nazm hay issi tarah likhtii rahiye , and thanks for sharing :-)

MaiN tou har Lamhaa tujhay yaad kiyey jaati huuN
Yunhii kahtii hun Tujhay yaad karun ya naa karun :~)
[/QUOTE]

thanx gul thanx alot 4 ur admiration

[QUOTE]
*Originally posted by Philanthrope: *
Wah..
[/QUOTE]

thanx

thanx zidee,capricorn,amirbilal,viv,mq,and others
i'm really thankful to u ppl

Buhat khoob, wah wah ...

bahut Alla