mujhay likha hai kaal usnay

Re: mujhay likha hai kaal usnay

**kal usnay mujhay likha tha
main usay yaad aaya tha
aaj main usay likhta hoon
vo mujhay yaad aaya hai

apna dil halka karnay ko
usnay raaz apna batayaa tha -
das laakh rupiaah usnay
Pakistani bank se churaaya tha

police ko main nay nahin bataya
vo pukka dost mera ban gaya
jab usko is baat ka dar lagta hai
mujhay yaad kar k likhta hai

dekho na ji hum kitnay achay insaan hain
vo chor hai main chori uski chchupata hoon
vo daghay baaz hai main bhi vohi hi hoon
vo mera dost hai main uska dost hoon

vo mujhay aksar yaad karta hai
main usay aksar yaad karta hoon
aur tum aksar meri rickshaw waali
ya trucker waali shairi partay ho**