Wo kuch suntan tu mein kehta, mujhay kuch aur kehna thaa
Wo pul bhur ko ruk jata, mujhay kuch aur kehna thaa
Ghalut fehmi nay baton ko barha dala yunhee warna
Kaha kuch tha, wo kuch samjha, mujhay kuch aur kehna tha
Kamai zindagi bhur ki ussi k naam kur dali
Mujhay kuch aur kurna tha, mujhay kuch aur kehna tha
Kahaan us nay suni, meri sunee bhee un senee kur dee
Ussay maloom tha itna, mujhay kuch aur kehna tha
Rawaan tha pyaar nus nus mein, bhoot qurbut thee aapus mein
Ussay kuch aur sunna thaa, mujhay kuch aur kehna thaa