Bht arsay ba’ad aaj kuch post karnay ka dil chaha…
Meri aankhon pay marta tha
Meri baaton pay hansta tha
Na janey shaks tha kaisa
Mujhay Khonay say darta tha
Mujhay jab bhi wo milta tha
Yehi har bat kehta tha
Suno!
Agar main bhool Jaon to
Agar main rooth jaon to
Kabhi wapis na aoun to
Bhula pao gi ye sub kuch
Younhi hansti raho gi kia?
Younhi sajti raho gi kia?
Yehi baten hain bus uski
Yehi yaaden hain bus uski
Pata hay mujhko bus itna
Mujhay wo piyaar karta tha
Mujhay khonay say darta tha…!