mujhay itni maharat hai k main saa'da say lafzooN maiN

maiN titli ko sula doon ga zara tum sham honay do
maiN jugno ko jaga doon ga zara tum sham honay do

kahan aa’gaaz hona hai kahaN anjaam hona hai
hunar saray sikha doon ga zara tum sham honay do

mujhay itni maharat hai k main saa’da say lafzooN maiN
tumhay dilkash bana doon ga zara tum sham honay do

meri nam’naak aa’nkhooN ko na dekhoo tum haqarat say
maiN tum ko bhi rula doon ga zara tum sham honay do

kahaN ho ge tumhari sham tum nay mujh say poocha hai
jahaN hoge bata doon ga zara tum sham honay do…!!!

Re: mujhay itni maharat hai k main saa’da say lafzooN maiN

wah koyal ji! kafi kuch keh diya is mein :k:

Re: mujhay itni maharat hai k main saa’da say lafzooN maiN

kaya baat hai :slight_smile:

main wah wah bhi kar doon ga zara tum shaam hone do :slight_smile:



P.S. very nice :lajawab:

Re: mujhay itni maharat hai k main saa’da say lafzooN maiN

itna over confidence acha nahi hota :mocking:

Re: mujhay itni maharat hai k main saa’da say lafzooN maiN

Koyal bohat khoobsoorat ghazal hey :k: Thanx for sharing it with us :slight_smile:

Re: mujhay itni maharat hai k main saa'da say lafzooN maiN

Nice one as usual. How are you long time eh!!

Re: mujhay itni maharat hai k main saa'da say lafzooN maiN

bohot khoob koyal