Mujhay itna pyar na do Baba

**Mujhay itna pyar na do Baba,

Kal jitna mujhay naseeb na ho,

Ye jo maatha chuma kertey ho.

Kal is per shikan ajeeb na ho

Main jab bhi roti hon Baba

Tum ansoo poncha kertey ho

Mujhay itni dooor na chor aana

Main roun aur tum kareeb na ho

Meray naz uthatey ho Baba

Meray laad uthatey ho Baba

Meri choti choti khwahish per

Tum jan lutatey ho Baba

Kal aisa na ho ik nagri mein

Mein tanha tum ko yaad karon,

Aur ro ro ker faryad karon

Ay Allah meray Baba sa,

Koi pyar jataney wala ho

Mera Naz Uthaney Wala Ho..!!!**

Re: Mujhay itna pyar na do Baba

this poem always brings a tear to my eyes
:lajawab: intekhab

Mujhay itna pyar na do Baba

Very nice:k: mujhai merai baba Ki yaad agay!!

Re: Mujhay itna pyar na do Baba

Good one :k: ye baba ko bharpoor tor pe emotional karne ki koshish thi

Re: Mujhay itna pyar na do Baba

SHUKER HY ALLLHA KA :mash2:
mujy to esa mila jo mery naaz uthata hy

Re: Mujhay itna pyar na do Baba

naaz uthwane ke liye bhi to insaan main kuch khoobiyan hoti hain.. jab hi log munh lagate hain

Re: Mujhay itna pyar na do Baba

MUJ ME TO ESA KOE GUN NAHI
bas maa baap ki duen hein

Re: Mujhay itna pyar na do Baba

Bohat achi poetry hay.

Re: Mujhay itna pyar na do Baba

aweesoommeee .. :k: .. loved it ..

Re: Mujhay itna pyar na do Baba

Pure

Re: Mujhay itna pyar na do Baba

Beautiful

Re: Mujhay itna pyar na do Baba

nice

Re: Mujhay itna pyar na do Baba

Brings back memo of my father how he used to love me more than anyone else.