Salalamzz
Mujhay har kaam say pehlay
Seher say shaam say pehlay
Yehi ik kaam kerna hay
Tumhara naam lena hay
Tumhi ko yaad kerna hay
Ke jab bhi dard peena hay
Ke jab bhi zakhm seena hay
Gham-e-duniya say ghabra ker
Mujhay jab jaam lena hay
“Tumhara naam lena hay”
“Tumhi ko yaad kerna hay”
Tumhaari yaad hay dil main
Ke ik sayyaad hay dil main
Koi bardaad hay dil main
USAY AABAAD KERNA HAY"
Tumhara naam lena hay"
Tumhi ko yaad kerna hay"
BLESSINGss