mujhay har kaam say pehlay....................

mujhay har kaam say pehlay


sahar say shaam say pehlay


ye he ek kaam karna hai


tumhara naam layna hai


tum he ko yaad karna hai


kay jab bhi dard peena hai


kay jab bhi zakhm seena hai


mujhay jab jaam layna hai


tumhara naam layna hai


tumhee ko yaad karna hai


tumhareyaad hai dil mein


kay ik sayyad hai dil mein


koi barbaad hai dil mein


issay aabaad karna hai


tumhara naam layna hai


tumhee ko yaad karna hai

Re: mujhay har kaam say pehlay....................

tumhareyaad hai dil mein
kay ik sayyad hai dil mein

koi barbaad hai dil mein
issay aabaad karna hai

Kiya baat hai

Re: mujhay har kaam say pehlay....................

acha!:)

Re: mujhay har kaam say pehlay....................

haan wakaee. Kya baat hai. Zabardast hai :)

Re: mujhay har kaam say pehlay....................

wasi bhai ki poem hai!................:)

Re: mujhay har kaam say pehlay…

yaeks! :confused: ehem ehem. WeLL, Khoob hai. :blush:Meri dua bhot jaldi qabool ho gaee. Kaash or bhi kuch maang lia hota dua mein :slight_smile:

Re: mujhay har kaam say pehlay…

konsee du’a?u were offending wasi bhai…tum tu mausam say bhi jaldi badal gay!:snooty:

Re: mujhay har kaam say pehlay....................

I havent read ur WASI BHAI. CLI wali poetry parh kar mein or kehta bhi to kya kehta.

"HUM TO SEEDHI BAAT KARTAY HEIN KHAFA KOI BHI HO"
:)

kher ye sab to mazaq ki baat thi. my remarx about ur WASI BHAI, showed nothing, but my ignorance. Aap wasi bhai ko parhti hein to yaqeenan bhot achay shair hongay. But again, the aim is not hurt anybody's feelings. Bura laga ho to maaf keejiye ga.

Re: mujhay har kaam say pehlay....................

nahin...........kuh bhi bura nai laga...................mein bhi mazaq he kar rahee thee...................we ppl gather here to share happiness................n not to fight..........am i right?:)

Re: mujhay har kaam say pehlay....................

excellent wording!

Re: mujhay har kaam say pehlay....................

KIA BAAT HEI!! BOHAT KHOOB.

Re: mujhay har kaam say pehlay....................

thanx for appreciation friends!

Re: mujhay har kaam say pehlay....................

khobsurat sharing **
**keep it up.