^
^^^^^^^^^^^^
------------------------------------------------------------------
**
Na Gubaar Main Na Gulaab Main Mujhay Daykhnaa
Mayray Dard Ki Aab o Taab Main Mujhay Daykhnaa
**
*Kissi Waqt Sham e Malal Main Mujhay Sochnaa *
*Kabhi Apnay Dil Ki Kitaab Main Mujhay Daykhnaa
*
Kissi Dhun Main Tum bhi Jo Bastiyoo’n Ko Tiyaag Do
*Issi Raah e Khana-Kharaab Main Mujhay Dayknaa *
Kissi Raat Maah e Najoom Say Mujhay Poochnaa
Kabhi Apni Chashm e Pur-Aab Say Mujhay Daykhnaa
**
Issi Dil Say Ho Kar Guzar Ga’ey Ka’ee Kaarvaa’n
Keh Hijratoon Keh Aazaab Main Mujhay Daykhnaa
**
Main Na Mil Sakoon Bhi Tou Kiya Hovaa Keh Fasaana Hoon
*Na’ee Daastaa’n Na’ey Baab Main Mujhay Daykhnaa
*
Mayray Aanso’on Nay Bujhai Thee Mayree Tashnagee
*Issi Barg Zada Sahaab Main Mujhay Daykhnaa
*
Vahee Ek Lamhaa e Deed Tha Keh Ruka Raha
Mayray Roz o Shab K Hisaab Main Mujhay Daykhnaa
*Jo Tarrap Tujhay Kissi Aa’iinay Main Na Mil Sakay *
*Tou Phir Aa’iinay Kay Javab Main Mujhay Daykhna *
^
^^^^^^^^^^^^^^^^
+++++++++++
…