Yeh un saaray shaairon kay naam jo yahan apnay kalaam post kartay hain…
** Mujhay bhi ishq ab karna hai, In shairon ko samajhna hai, Yeh shairon ka jo jharna hai, Samajh kai inko nikharna hai,Mujhay bhi ishq ab karna hai.
Kehtay hain ishq hai aisi cheez,
jis main jeetay jeetay marna hai,
Is main jo tubbah huay un logon,
Ki tarhan mujhay sawarna hai,
Mujhay bhi ishq ab karna hai.
Kaee taur kay ishq hotay hain suna,
Par mujhay tau woh ishq karna hai,
Jis say guzar kay laakhon amar huay,
Us ishq ki raah say guzarna hai,
Mujhay bhi ishq ab karna hai.
Shama ki tarhan pighalna hai,
Rait ki tarhan bikharna hai,
Parwanay ki tarhan sulagna hai,
Par is ishq ko dil main bharna hai,
Mujhay bhi ishq ab karna hai.
Yeh safar mujhay tay karna hai,
Is raah pay munn ko dharna hai,
Akela mujh ko chalna hai,
Is aag main mujhay utarna hai,
Mujhay bhi ishq ab karna hai…![]()
Lajawab…**