Ali_2
1
yeh baja k husn hi husn hai meray gird o paish magar nahien
teri aarzoo kii hadood mein kisii aarzoo ka guzar nahien
wo kaleem thay jo behal gye teri barq zair e naqaab say
jo tajaliyon say ho mutmain wo mera mazaaq e nazar nahien
yeh khyal e kham na kar kabhi k ghulam e waqt hai aadmii
teri zindgii kii bulandiyaan yeh nazam e shams o qmar nahien
yeh baja k deer o haram mein hain teri azmaton kii alamatien
meray dil ko apna yaqeen dila mujhay aitbar e nazar nahien
yeh maraqbay yeh makashfay yeh mujhahaday yeh majadalay
teri manzilien hain yeh waqa’ii k mujhey shaoor e safar nahien
yeh hajoom e lala chaman chaman yeh ghata mein barq ka bankpan
ho sajood e shoaq mein rukh kidher teri jalwa gaah kidher nahien
meri justajoo kii rasaiyaan hain teray hadood e jamal tak
mujhay do jhaan say gharaz hii kya meri do jhaan pay nazar nahien
meray sajda haaye dil o nazar, hain kharab kab say idher udher
mujhay is qdar to pata chalay k kidher hain aap kidher nahien
yeh qyaam gaah ka hai asar k maal par bhi nazar nahien
hai safar ka waqt qareeb tar magar ikhtmam e safar nahien
mujhay bazm khoob khay to kya mujhay daad e shair milay to kya
teri aarzoo ka kamal hai , meri shairy ka hunar nahien
yeh chaman yeh danish e be-nawa jo ghira hai abr sharar fishan
kisi samrii ka hai shobda yeh sehar to merii sehar nahien
Aqls
2
Re: mujhay bazm khoob khay to kya mujhay daad e shair milay to kya
bohat hi khoobsoorat kalaam share kiya hai.
agar shayar ka naam pata ho tau zaroor bataiyega
shukriyaah
Sheal
3
Re: mujhay bazm khoob khay to kya mujhay daad e shair milay to kya
bohoot khoob Ali :k:
Koyal
4
Re: mujhay bazm khoob khay to kya mujhay daad e shair milay to kya
meray sajda haaye dil o nazar, hain kharab kab say idher udher
mujhay is qdar to pata chalay k kidher hain aap kidher nahien
kaash pata chalay wo kidher haiN 
nice sharing 
muncho
5
Re: mujhay bazm khoob khay to kya mujhay daad e shair milay to kya
agar pata chul jaey tau ‘WO’ wo nahi rahta 
muncho
6
Re: mujhay bazm khoob khay to kya mujhay daad e shair milay to kya
maareyfut ki bulundiyun pe rah kar shahkaar likha gaya hay; bahut aala kalaam g
Ali_2
7
Re: mujhay bazm khoob khay to kya mujhay daad e shair milay to kya

Thanks 
SinlneR
8
Re: mujhay bazm khoob khay to kya mujhay daad e shair milay to kya
khoob, at the top of its quality..
very nicely written, i really admire it.
thank alot for sharing.!
Koyal
9
Re: mujhay bazm khoob khay to kya mujhay daad e shair milay to kya
:halo: ap ko pata hia kia 
Ali_2
10
Re: mujhay bazm khoob khay to kya mujhay daad e shair milay to kya
thanks 
Nahin 
Koyal
11
Re: mujhay bazm khoob khay to kya mujhay daad e shair milay to kya
^ dantoN se tu lag raha pata hia 
Re: mujhay bazm khoob khay to kya mujhay daad e shair milay to kya
bohat bohat khoob :k:
poet kon hai 
Koyal
13
Re: mujhay bazm khoob khay to kya mujhay daad e shair milay to kya
beach maiN aytbaar ka lufz hia tu aytbaar sajid ki hona hia 
Re: mujhay bazm khoob khay to kya mujhay daad e shair milay to kya
last shair mai to aitbar nahi 
muncho
15
Re: mujhay bazm khoob khay to kya mujhay daad e shair milay to kya
aakhree shair main 1. danish 2. saamri aur sahar; in teeno main se koi aik???

buhat zabardast hai ali
khoob
Re: mujhay bazm khoob khay to kya mujhay daad e shair milay to kya
too gud:k:
Re: mujhay bazm khoob khay to kya mujhay daad e shair milay to kya
aakhree shair main 1. danish 2. saamri aur sahar; in teeno main se koi aik???
chaman ve hai tusi bhol raya :D
Re: mujhay bazm khoob khay to kya mujhay daad e shair milay to kya
achi post hia ali sha'er kon hia ji :)
Re: mujhay bazm khoob khay to kya mujhay daad e shair milay to kya
Ali nay khud likhi hai 